Age: 125
7304 days old here
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kahien gum hua teri khoj main
main giraah main baandh k haadsaat nikal parda teri khoj main kahein taarkol ki thi sardak jahan aag bant-ti dhoop thi kabhi kachhi raah ki dhool main jahan saans lena mohaal tha sar-e-zarm-e-jaan kabhi dil k dard se haar kar main to khaanqaahon pe maangta phir minattain kabhi raat raat basar duaon main ho gai kabhi qafilay meri aas k kisi dasht-e-yaas main kho gaye mera perhan tha phata hua,kahien gard gard ataa hua main adhooray pan k saraab main tujhay dhoondta phir dar-badar kisi ajnabi k deyar main koi dukh mila kisi mord par koi ghum mila kisi chok main kisi raahguzar k sakoot main koi dard a k daraa gya kabhi chal parda, kabhi ruk gya kisi kashmakash k ghubaar main mujhe kya mila tere pyar main main giraah main baandh k haaadsaat kahien gum hua teri khoj main...
Age: 125
7304 days old here
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
ye saal bhi aakhir beeet gya
kuch teeesain,yaadain , khwab liye kuch kaliyaan, chund gulaab liye kuch ankhardiyaan pur-aab liye kuch ujlay din kaali raatain kuch sacchay dukh jhooti baatain kuch tapti rutain, kuch barsaatain kisi yaar azeez ka dukh pyara kisi chhat pe ummeedon ka taara jis pe hansta tha jug sara is shayar ne jo harf likhay usmain teri yaad k saaye thay wo log sabhi aakhir lot gaye jo sadiyon paar se aaye thay un hanstay bastay logon ne mere saray dukh apnaye thay phir main ne yaad ki matti main zakhmi lamhay dafnaaye thay
Age: 125
7304 days old here
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
chalo phir nafraton ki aag ko ikhlaas k chashmon se dho daalain jinhon ne dil-ba-dil Lamha-ba-lamha bud-gumaani kasht ki hey in wafa na-ashna sochon ko zehnon se khurach kar deeda-o-na-deeda zakhmon ko dafn ker k lagaien,aao sab mil jul kar kuch zaitoon ki shaakhain k jin k shabnami saaye main khwabon ka basera ho jahan hudd-e-takhaiyyal tak sawera hi sawera ho chalo phir reshmi khwabon, Mohabbat-khaiz jazbon aos qatron ki tarah shaffaf tar sochon ko baaham aik kar k amn ki tafseer ban jaien chalo,phir mil k hum sab aanay walay dour ki taqdeer ban jaien chalo,phir aanay wali rut ka istaqbaal kartay hain Mohabbat hi Mohabbat kasht ab k saal kartay hain suno logo, k ab k saal hum sab ko sitaaron ki zaroorat hey baharon ki zaroorat hey zara socho. to aapas k sahaaron ki zaroorat hey chalo phir aanay wali rut ka istaqbal kartay hain Mohabbat hi Mohabbat kasht ab k saal kartay hain....
Age: 125
7304 days old here
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
ab k baras ki hawaaon se kehna main ne aanchal main apni Mohabbat k gulaab phela diye hain... ab k baras ki barsihon se kehna k main ne apni kachhi jhonprdi ki chhat pr sookhay patton ko saayebaan bicha diya hey ab k baras ki bahaaron se kehna k ab wo guzrain to mere chotay se ghar se khazaan k saray mosmon ko samait kar le jaien kion k ab mera daaman khushiyon se choor hey....
Age: 125
7304 days old here
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
-¤ D®ëåmë® ¤- said:
Doctor Sam said:
jee hotel waqai nahi chalta , bay-chara chal e nahi sakta uski taangain nahi hain na... lekin hum soch rahay hain aik chalnay wala hotel aijaad kerne k baaray main, agar kisi ne formula na chura liya to...
wese Raja saaab... aaap apna kaam kerain humain apna kaam kerne dain... ye to buri baat hey na....
lolzzzz
to chalao na lolzzzz
chalo thik hai tusi apna kaam karo..aur tusi hamara bhi karooo
uffff aap se ye e ummeed thi..aap ne sona hoga na..